Sunday, January 10, 2010

Cloths in Namaz (Prayer)




Hazrat Ibn Abbas Radhi Allaho Taa�la Anho se marwi hai ke Nabee
Sallallaho Alaihey wasallam nefarmaya mujhe huqm huwa hai ke
saat haddiyon par sajda karoon aur ye huqm hua hai ke kapde aur
baal na sametoo
(Bukhari sharif Zild -1 Safah-113,Muslim sharif Z-1,Safah-193,
Tirmizi Sharif. Zild-1,Safah-66)

Hazrat Ibn umar radi allaho taa�la anho farmate hain ke Nabee
sallallaho alihey wasallam ne farmaya ke jo shakhsh apna kapda
takabbur se neechey karega Allah Taa�la qayamat ke din oos ki taraf
rahmat nahi farmayega
Hazrat Abu bakar siddiq ne is farman ko sunte he arz kiya
Ya rasoolallah mera tahband to neechey latak jata hai,magar is
waqt ke jab main is ka khas khyaal rakhoon,Nabee sallallaho alaihey
wasallam ne farmaya tum oon main se nahi jo takabbur ki wajah se
ejar latakate hain yani ye baat oon logo ke liye hai jo takabbur ki
neeyat se tahband aur salwar neeche rakhte hain
( Bukhari Sharif,Zild -doyem, safah no. 860)

Conclusion : Sharah Bukhari Allama badruddin aynee farmate hain ki
kapda bagair takabbur ki neeyat se takhne se neechey rahne main
namaz makrooh tanzeehi hai ya khilafe awla hai magar kadde
ko upar se ya neeche se modna makrooh-tahreemi hai yani namaz
ko wapas dohrana wajib hai

0 comments:

Post a Comment